blog(website) ki traffic kaise badhane ke liye jane kuch top tips

hello frnds
aap logo ne blog bana liya hai ab aap post bhi likh rahe hai or apko traffic bahut kam hi mil rahi hai to aaj ham apko kuch aise tips batayenge jisase apke blog ki tarffic bahut hi asaani se badhane lagegi lekin ye bhi baat apko samjhni chahiye ki aap jo kuch bhi apni life me hasil karte hai o sab apki mehnat per hi nirbhar hota hai isliye mai apko jo bhi trick batau ya aap kisi or blog se jane un sabhi ko apne blog ko behtar banane ke liye jarur use kare to chahliye ham apko kuch bahut hi badhiya tips de raha hu aap usko jarur use kare 

mujhe viswas h ki a apki jaroor madad karegi

1.khoobsurat or fast load hone wala templet use kare

har ek visitor chahta h ki apki site sundar or fast open hone wali chahiye,kyoki aap jab kisi site ko open karte hai to aap chahte hai ki website ya blog turant open ho jaye or sabse badi baat aaj bhi bahut se log apke blog ko 2g network me hi padhte hai jo apke blog ki loading acchi na hone se udas hote hai or apka blog bina kuch dekhe ya jane ki apke blog me sabse behtrin chij kya hai ye sab jane bina hi close kar dete hai fir apke blog pe wapas nhi aate hai jo apke blog ke liye bahut hi bekar chij hai isliye aap apne blog me bahut fast loading wala or khoobsurat bhi lage aisa template use kare yahi apke liye accha rahata hai.....

template kaha se download kare free me click hare 

2.apke post ka tittle thoda bada hona chahiye

apne dekha hoga ki bahut se blogger aise bhi hote hai jo ki tittle ke naam pe kewal do words likh dete hai aisa karne se apke search rank pe bahut asar padta hai kyoki koi bhi search engine sabse pahle unhi result ko show karta hai jiska tittle thoda lamba hota hai or aap ye bhi kah sakte hai ki lambe post tittle ko koi bhi search engine bade ashani se padh leta hai or apke post ko search me acchi rank deta hai isliye apko  apne post ka tittle thoda log rakhna chahiye

3.share button ka istemal kare

aap apne blog ki sabhi post me share button ka istemal jarur kare kyoki bahut se reader apke fan bhi hote hai ya ho sakta hai apne jo jankari apne blog me di hai o bahut helpfull hai to apka reader apke post ko share karna chaahe or jab apke post ke niche ya uper share buttons nhi honge to usko share karne me bahut problems hogi to apko share button jarur add karne chahiye ,,,ap apne blog  k setting me jaiye vaha pe share button ka option hota h waha se share button jaroor lagaye  ho sakta h ki koi content visitor ko pasnd aa jaye or share kar de like facebook  pe etc

4.ap doosre k blog pe b comment kare 

apko hamesha dusre blog ko read karna chahiye or comment bhi karna chahiye aisa karne se apko famous hone ke chance banenge apko dusre blog se backlink bhi milegi,or apko apne blog pe aaye huye comment ka reply jitna jaldi ho sake utna fast kare kyoki apke visitors ko apka jawab 24hrs me to chahiye isliye apko reply jald se jald karne ki koshis karni chahiye ap doosro k bhi blog padhe or  agr kisi ka ans jante h to jaroor comment kare 

5.keywords ya labels ka use jarur kare

aap jo bhi post likhe usase juda ek labels bhi banaye apke visitors ko koi post pasand aati hai to usko us post se jude or bhi jankari chahiye hoti hati hai or jab aap labels ka use karte hai to readers ko bahut hi asani hoti hai ek hi topic per post padhne me isliye apko labels ka use jarur karna chahiye 


heme aasha hai ki apko is post se bahut sahayata milegi 

frnds ye rahi aaj ki post agar apko is post ke baare me kuch puchna hai to plzzz comment kare mai apki help jarur karunga 

request for you/agar apki thodi bhi help hui hai to

plzzz share this post with your frnds
 thannkxxx for read this


Share this

Receive Quality Articles Straight in your Inbox by submitting your Email below.

Related Posts

Previous
Next Post »

5 comments

comments
Anonymous
17 May 2016 at 21:32 delete

Good information and great post. I like the website, and am sure to keep returning.
cheap website traffic

Reply
avatar
17 May 2016 at 22:30 delete

thankxxxx for coming on my blog plzz keeep visitng
n thankxx again
apka site bhi bahut acha hai

Reply
avatar
Anonymous
12 November 2016 at 20:10 delete

www.freemeinfo.com meri site he muje hosting kharidni he kahase kharidu

Reply
avatar
30 December 2016 at 12:36 delete

rathod ji aap apne blog ke liye bluehost ya hostgotar se hosting buy kar sakte hai lekin aapka blog abhi blogspot.com pr hai waha pe hosting ki koi jarurat nhi hai aap jab wordpress pe blog migrate kare to hosting buy kare

thankxxxx and keep supporting

Reply
avatar
Anonymous
24 January 2017 at 12:07 delete

sir Mai Ek Backlink ShareKar RahaHu Please Use Share Karne Dena.

Blog Ki Traffic Kaise Badhaye Latest Seo Tips.
https://blogkeyhindi.blogspot.com/2017/01/blog-ki-traffic-kaise-badhaye-latest.html?_e_pi_=7%2CPAGE_ID10%2C5414943787

Reply
avatar

hello readers
apko comment karne se pahle kuch bata diya jaye

1.ap comment me galat sabd ka prayog nhi karenge
2.ap internet se juda koi bhi sawal puch sakte h
3.ap koi bhi sawal bar bar n puche
agar aap chahte h ki apke comment ko publish nhi kiya jaye to bata dijiye ya ap HAMSE SAMPARK KARE form fill karke send kare
THANKXXXX

Ads Inside Post