meta tag kya hai or ise kyo use kare

hello frnds
hamne blog to bana liya hai lekin hamara kam yeha per hi nhi khatm hota hai hamko apne blog ko ssearch me sabse uper le jana hai jo hamare blog ki traffic badhane me bahut hi usefull hai qki jab ham koi keyword search karte hai to sabse pahle jo bhi blog aata hai sabse pahle hamari nazar us blog per jati hai jisase us blog ke visiter badhate hai bilkul aise hi hame apne blog ke sath karna hai jisase hamare blog ke visiter bhi badhenge 
qki hamare blog per sirf ache content hone se kuch nhi hoga usko sabhi jagah SHARE karna padta hai jaise social sites etc

or agar apka blog search me nhi aa raha hai to apko apne blog me meta tag add karna chahiye qki ye hamare blo ko search me lane me bahut help karta hai

aapko bTana chahunga ki meta tag hamari kya help karta hai 

meta tag hamare blog ke liye bahut hi jaruri hai qki yehi batata hai ki hamara blog kis bare me hai,hamare blog me kya jankari hai,blog ke post koun likhta hai,blog ko kis country ka aouther likh raha hai,blog me kin chijo ki jnkari uplabdh hai etc ye sabhi jankari ham kisi bhi search engne ko apne blog ko search me lane ke liye dete hai

ham apko bata de meta tag  ko apne blog ke tamplate walepart me add karna hota hai lekin koi bhi visiter isko dekh nhi sakta hai iske use se search engine ko hamare blog ko samjhne me bahut asani hoti hai  

meta tag ko ham badi asani se apne blog ke tamplate me add kar sakte hai,or isme kya hota hai,isko kaise genrate karte hai,ise kaise add karte hai in sab ka jawab niche hai 

meta tag me kaya jankari hogi hamare blog ki 

meta tags me ham iski jankari denge 
  1. hamara blog kis bare me hai
  2. blog ke topics kya hai 
  3. uske contant koun likhta hai 
  4. kis desh me likha jata hai
  5. kischijo ko search me lana hai

meta tags kaise banate hai usme apko kya jankari deni hai

ap jab bhi koi meta tag genreter open karenge to apko ye jankari us tool me deni hogi

description:is option me hamko apne blog ke baare me sabhi jankari deni hai ye bahut hi jaruri part hota hai qki jab koi bhi hamara blog share karta hai FACEBOOK,TWITTER,WHATS APP etc per to hamare blog ka description hi show hota hai
iisme ham 150 se jyada sabd le sakte hai 

keywords:iska malab to ap jante hi honge iska matlab ye hota hai ki hamare blog ke jo bahut hi jaruri topic hai jaise blogger,google,trick etc inko dalna hota hai isme ham 10 se 15 sabd daal sakte hai

author:isase search engine ko ye pata chal jata hai ki is blog ke post koun dalta hai YE option sabhi genrater me nhi hota hai waise ye itna jaruri bhi nhi hai

language:ye bhi koi jyada jaruri nhi hai lekin apko batana chahunga ki agr koi genreter me ye option hai to aap isko fill kar sakte hai chahe to rahne de lekinjab ham isme apne blog ki bhasa daal dete hai to hamare blog ko search me asani ho jati hai 

country:isme apko apne desh ka naam dalna hota hai EXA:india.pakistaan,uk etc

robots:isme ham google ko batate hai ki kis chij ko search me laya jaye kisko nhi agr aap isko all rahne de to bahut acha hai 


                          apko meta tag genrate karne ke liye link per click kare
                                         META TAG GENRATE KARE

jab apka code ready ho jaye to use COPY kar le apne blog ke DASHBORD me jaye uske baad TEMPLATE per click kare 
  1. apko sabse pahle TEMPLATE per click karna hai
  2. apko uske baad edit html per click karna hai 

jab apke html box open ho jaye to apko kahi perek click karni hai 
  1. CTRL+F dabaye jo search box aaye usme <HEAD> type kare or ENTER button perss kare
  2. to apko samne head dikhai de 
  3. ab apne jo code copy kiya hai usko HEAD ke age pest kare
  4. ab apko SAVE button per click karna hai
jab ap itna kar lenge to ham pure bharose ke sath kah sakte hai ki aapka blog search me jarur show hoga


agar apko koi jankari chahiye to comment jarura kare aap apne sawal ASK ME form me bhi post kar sakte hai 


Share this

Receive Quality Articles Straight in your Inbox by submitting your Email below.

Related Posts

Previous
Next Post »

hello readers
apko comment karne se pahle kuch bata diya jaye

1.ap comment me galat sabd ka prayog nhi karenge
2.ap internet se juda koi bhi sawal puch sakte h
3.ap koi bhi sawal bar bar n puche
agar aap chahte h ki apke comment ko publish nhi kiya jaye to bata dijiye ya ap HAMSE SAMPARK KARE form fill karke send kare
THANKXXXX

Ads Inside Post