top 8 question ke answer jise har blogger ko janana chahiye aap bhi jane ki o kya hai


Hello frndsApko ye to pata  hoga ki INTRNET hamre life ka ek bahut bada hissa ban chuka hai or ye duniya unke liye or bhi important hoti hai jo log internet ki duniya me apna alag naam ya paisa kamana chahte or in sabhi ke liye sabse jyada log blogging ko apnate lekin blogging se judi kuch aisi bate hai jo har blogger ko janani chahiye

To chaliye jante hai kuch sawalo ke answer jo sabhi bloggers ko janana chahiye

Q1.kya blogging ek asan rasta hai paise kamane ka?

to mai aapse yahi kahunga ki agr apko sirf kuch hi dino me ya kuch hi ghanto me paise banana hai to apko blogging ka plateform nhi apnanana chahiye qki blogging ek aisa plate form hai janha pe log apke sabhi post ko ache se parkhate hai apke writing skill ko dekhte hai aap kitna acha likh sakte hai usko dekhte hai or jab aap in sab me apne aapko khara utar pate hai to apko do chij milni to shuru ho jati hai pahli chij aap famous hone lagte hai dusri chij aap paise kamane lag jate hai lekin apko ye bhi bata de 87% log blogging sirf paise kamane ke liye karte hai or sirf 13% log blogging apne pasion ke liye karte hai or agr aap blogging paise kamane ke liye karte hai to aapko blogging se jude kam presher me rahkar karna hota hai or jab aap blogging pasion ke liye karte hai apko paise earn karne ke chance 99% apne aap ban jate hai 

kisi ne kaha hai=mehnat se jyada apka hunar apko mahan banata hai

Q2.kya blogging ke liye kisi course ki jarurat hoti hai?

ji nhi apko iske liye kisi tarah ke study karne ki jarurat nhi hoti hai ye to bas ek junoon hai logo ko ek nai soch dene ki logo me ek naye vichar ko paida karne ki har taraf jagrukta failane ki or agr aap me ye sabhi gun hai to aapko blogging karni chahiye uske liye aap jo bhi subject chahe uspe apna blog banaye  or blogging start kare or agr isme study ki baat ki jaye to apko agr thodi bahut english aati hai or apko hindi ache se aati hai to apko ke liye agrasar ho jana chahiye or baki ki baate apko apke expreance se milti rahengi 

Q3.blogging me saflta kaise hasil kare?

jaisa ki ham apko pahle hi bata chuke hai ki agar apko apne life me kuch bada karna hai to apko apne dil ke andar bhi ek aisa samundar rakhna hoga ki janha pe aapko itna sahas bharna hoga ya rakhna hoga qki blogging ek aisa kshetra hai janha pe bahut se log sirf paise kamane ke liye aate hai jo ki success nhi hote hai or dusre logo ke blog ko bhi barbad karke chale jate hai  or agr aap blogging me apna carrier banana chahte hai to apko bas dharya ki jarurat hai jise mai apse kahna chahta tha 

4.blog me kya likhu samjh nhi aata hai?

jaisa ki ham jab koi blog banate hai or jab ham kisi ki nakal karke post likhne lagte hai to pahli baat apna khud ka exprience nhi ho pata hai or jab bhi ham blog banaye to hame is baat pe jyada dhyan rakhna chahiye ki hamko jis bhi subject ke baare me bahut hi ache se knowledge ho uske baare me hi blog banaye qki aisa kabhi kabhi hota hai ham koi post kahi se chura ke likh le lekin jab koi comment karta hai ki SIR MAI  ISKO KAISE karu to hamare pass koi ans nhi hota hai to ham apko yahi kahenge ki aap blog us baare me hi banaye jiske baare me apko bahut hi achhe se jankari ho 

5.blogging me help ke liye kaha pe jaye?

blogging me jab ham naye hote hai to kuch hi din aise hote hai jis din ham blogging se jude kisi new samsya se uljhe na ho ya koi aisi ghatna na hui ho jo apko kuch samay ke liye pareshan na kiya ho is liye jab bbhi apko blogging se judi kuch baato ko aap logo se puchte ho to apko koi kuch nhi bata pata hai lekin aapko jab bhi koi new problem hoto to apko sabse pahle usase jude sabhi bato ko GOOGLE karna chahiye uske baaad apko jitne bh post provide ho aap un sabhi ko ache se padhe apko apke sawal ka jawab mil jayega 


6.blog raeder ko blog ssubscriber kaise banaye?

 blogging meye sabse tedha sawal hai ki apne reader apne blog ko subscriber kaise banaye to apko batate chale ki apko pahle to apne blog pe aise post likhne chahiye jo apke reader ko pasand aaye or agr reader us trick ko apply karre to puri tarah se true nikle agr apne apne blog pe koi galat informetion di hai to apke blog pe koi bhi subscribe nahi karega or aap apni traffic bhi loss kar denge or agr aap apne blog pe ache post dete haoi to readers apke blog ko jarur subscribe karenge 
apko ye anubhav huye honge
a.is blog pe 6000+subscriber hai 
b.blog ko itne logo ne facebook pe like kiya hai
c.ye blog pratidin itni traffic prapt karta hai 
apko bata du ke ye sab din rat ki mehnat hoti hai 

7.blog pe traffic kaise prapt kare?

bloggig me ham do din me traffic nhi prapt kar sakte hai uske liye hamko apne blog me bahut se post dalni hongi post kahi se copy nhi honi chahiye or jo bhi post likhe usme ek sachai dikhai de ki apne is blog me kitni mehnat ki hai or  apko apne blog pe jyada traffic ke liye usko baar baar share karna chahiye apne blog pe jyada traffic ke liye apko apne 5+ post ko daily update karna chahiye jisase apki pr search engine me achi bani rahe or bhi bahut kuch karna chahiye apko traffic lene ke liye

  1. post ko update karte rahe
  2. post ko share karte rahe
  3. post ko new post me bhi change kar sakte hai ye bhi ek tarah se update hoga lekin apke blog ki traffic bahut badh jayegi 
  4. new post dalni chahiye 
  5. post ke niche share button ka use jarur kare


8.blog me post kitne time me karni chahiye?

blog ko ek successful blog banane ke liye bahut work karna hota hai jo koi mazak nhi hai apko ye pata hoga ki hamko ek post likhne se pahle kitna research karna padta hai or agr ham apne post ko likhne se pahle se koi raesrch nhi karte hai to post kisi bhi kam ka nhi hota hai or agr ham ye baat kahe ki do post ke bich me kitna antral ho sakta hai to mai kahunga ki apko DAILY post publish karni chahiye or agar apke pass time nhi hai to post ko update jarur kare isase apke blog ki traffic loss nhi hogi

frnds ye hai kuch sawal jinke answer apko jarur janana chahiye 
hame aasha hai ki ye apki bahut help karenge or agra pko koi help chahiye to aap  hame comment karke bataye ham apki poori help karenge
post abhi update hogi
thankxx for read this

Share this

Receive Quality Articles Straight in your Inbox by submitting your Email below.

Related Posts

Previous
Next Post »

3 comments

comments
3 November 2016 at 15:18 delete

sir mere blog ko check krke btaiye ko kesa hai mere.blog ki alexa rank 1000000 hai
www.webinhindi.in

Reply
avatar
19 November 2016 at 15:26 delete

sir kya hm apne blog ko bech skte hai kya

Reply
avatar
21 November 2016 at 13:26 delete

ha jarur bech sakte ho lekin abhi thoda wait karo or apne blog ko famous banaye tab accha paisa milega

thankxx for comment

Reply
avatar

hello readers
apko comment karne se pahle kuch bata diya jaye

1.ap comment me galat sabd ka prayog nhi karenge
2.ap internet se juda koi bhi sawal puch sakte h
3.ap koi bhi sawal bar bar n puche
agar aap chahte h ki apke comment ko publish nhi kiya jaye to bata dijiye ya ap HAMSE SAMPARK KARE form fill karke send kare
THANKXXXX

Ads Inside Post