hello frnds
aaj ham baat karenge ki KEYWORDS KYA hote hai or inko apne blog me kaise use karte hai or ye hamare liye jaruri kyo ho jate hai agr aap post likh rahe hai or apko lagta hai ki aapke blog pe traffic nhi aarahi hai to iska dusra bada karan ye ho sakta hai ki shayad aap apne blog pe keywords ka sahi se use nhi kar rahe hai to chaliye ham dete hai apko in sabhi sawalo ke question jo apko jarur janana chahiye
blog ya post ke liye keywords kyo jaruri hai?
jab ham apne blog me koi post likhte hai to usme ham kuch aise keywords use karte hai jo logo ke dwara blog me jyada search kiye jate hai ye keywords search engine me search kiye jate hai apko pata hoga ki jab app koi bhi words google,bing,yahoo,yandex jaise search engine me dalkar search karte hai to apko bahut se option uplabadh kar diye jate isme aap ek khas baat ye dekhte hai ki apne jo word search kiya hai apne samne jo bhi site ya blog ke naam aaye hai usme sabhi me apke dwara search kiye gaye words hote hai
search engine me search kiye words keywords hote hai
hame blog me achhe keywords kyo use karna chahiye? jab ham apne company ya products ya kisi bhi kam le liye apna blog ya site bana lete hai to sabse jaruri chij hoti hai ki ham apne blog pe jyada se jyada readers ko apne blog pe attract kare or iske liye hame apne blog ko serach me sabse uper lana hoga jo ki aap achhe keywords use karke hi kar sakte hai jab aap apne blog me achhe keywords use karte hai to apka blog search me achhe rank me aata hai or apke blogvke visitors bhi badhne lagte hai
kahne ka matlab hai blog me acche keywords hi accha rank dilata hai search me. agr apko apne blog ka rank badhana hai or search me ache rank me lana hai to apko keywords ka use bahut hi acche se karna hoga
keywords planner kya hote hai kya ye free or paid hote hai?
keywords research toll o tool hote hai jo apko apke blog ya post me high search keywords batate hai apko apke blog ke liye ye batate hai ki apne jo keywords use kiya hai usko log is time kitna search kar rahe hai or ye kywords ke volume kya hai log isko kitna kab search kar rahe hai ye keywords planner apko sabhi serach engine jaise google,bing,yahoo or yandex jaise search engine me search kiye gaye words ko apke samne uplabadh kar deta hai
keywords planner o tool hote hai jo apko apke keywords ke baare me sabhi jankari dete hai. ap ko ye tool free me or paid bhi uplabadh ho jate hai free me sabse accha keyword planner tool hai google keyword planner tool iske help se aap bahut he ache keywords research kar sakte hai
or agr apko paid keyword planner tool chahiye to apko ye site pasand aa sakti hai
- www.alexa.com
- www.seoprofiler.com
hame asha hai ki apko meri ye post pasand aayi hogi agr aap is post ko lekar kuch confused hai to aap comment karur kare or SHARE karna na bhule
thankxxx for read this
Share this
Receive Quality Articles Straight in your
Inbox by submitting your Email below.
hello readers
apko comment karne se pahle kuch bata diya jaye
1.ap comment me galat sabd ka prayog nhi karenge
2.ap internet se juda koi bhi sawal puch sakte h
3.ap koi bhi sawal bar bar n puche
agar aap chahte h ki apke comment ko publish nhi kiya jaye to bata dijiye ya ap HAMSE SAMPARK KARE form fill karke send kare
THANKXXXX