hello frnds
aaj ham apko batayenge ki aapko apne blog ke liye SEO ko kaise use karna chahiye or apko apne blog me isko use karne ki jarurat kya hai SEO ka matlab kya hota hai or bhi bahut se aisi jankari hai jo apko janani chahiye aapne blog bana liya hai lekin apka kam blog banake chor dena nhi hota hai apko apne blog ke liye bahut work karna hota hai jisase apka blog search me aaye apke blog pe traffic aaye or ham apne blog ke famous ho jaye ham apni blog ki traffic badhane ke liye bahut se research karte hai unko use karte hai lekin jo hamare new bloggers hote hai o seo ke bare me kuch nhi jante hai to chalte hai aaj ham apko iski poori details acchi tarike se denge...
1.seo kya hai?
seo ka matlab hota hai search engine optimize jo ki hamare blog me hamare dwara kiye gaye research me se ek hai ham apne blog ko rank dilane ke liye bahut se method ka use karte hai seo unme se ek hai jiska use karke ham apne blog ko search engine me ek accha rank dila sakte hai isme bahut se proccess hote jinko poora karke ham apne blog ko ek behtar rank dilate hai google,bing,yahoo jaise search engine me or ham bahut hi badhiya traffic prapt karte hai....
2.seo ki kya jarurat hai apko?
aaj ham apko batayenge ki aapko apne blog ke liye SEO ko kaise use karna chahiye or apko apne blog me isko use karne ki jarurat kya hai SEO ka matlab kya hota hai or bhi bahut se aisi jankari hai jo apko janani chahiye aapne blog bana liya hai lekin apka kam blog banake chor dena nhi hota hai apko apne blog ke liye bahut work karna hota hai jisase apka blog search me aaye apke blog pe traffic aaye or ham apne blog ke famous ho jaye ham apni blog ki traffic badhane ke liye bahut se research karte hai unko use karte hai lekin jo hamare new bloggers hote hai o seo ke bare me kuch nhi jante hai to chalte hai aaj ham apko iski poori details acchi tarike se denge...
1.seo kya hai?
seo ka matlab hota hai search engine optimize jo ki hamare blog me hamare dwara kiye gaye research me se ek hai ham apne blog ko rank dilane ke liye bahut se method ka use karte hai seo unme se ek hai jiska use karke ham apne blog ko search engine me ek accha rank dila sakte hai isme bahut se proccess hote jinko poora karke ham apne blog ko ek behtar rank dilate hai google,bing,yahoo jaise search engine me or ham bahut hi badhiya traffic prapt karte hai....
2.seo ki kya jarurat hai apko?
agr aap internet ke baare me jante hai ya aap koi online produck sell karna chahte hai to apke pass ek site hona bahut jaruri hai or jab apke pass site hogi to aapko usko search engine me top rank me lana bhi jaruri hai qki jab apke site pe visitors aayenge tabhi to apka produck sell hoga or aap paise kama payenge.....
type of seo
seo do tarah ke hote hai jo niche diya gaya hai
- on-page seo
- off-page seo
on page seo
sabse pahle ham jante hai on page seo ke baare me ki ye kya hai or isko apne blog me kaise use karte hai jab ham apne blog ko google jaise search engine ke liye ready karte hai or apne blog ko search engine ke liye edit karte hai to ham usko on page seo kahte hai on page seo me ham kya karte hai janiye- website ki speed:apke liye jaise apke blog ke template jaruri hai ki uski disgine acchi ho dekhne me acchi lage to apko apne blog ke loading speed pe bhi dhyan dena chahiye
- apke blog ki speed 1-5 sec hai to bahut accha hai
- apke blog ki speed 5-10 hai to bhi accha hai
- lekin agr apke blog ki speed 10 sec se jyada hai to apko apne blog me kuch devlop karna hoga
- blog ki speed badhane ke liye apko usme jitne bhi bade bade pic hai unko replace kar de,blog me jo bekar ki ccs code hai unko bhi hata de apke blog ki speed fast ho jayegi
- tittle tag:kisi bhi site ya blog ke rank ko incress karne ke liye tittle tag ka hona bahut jaruri hai agr apne tittle ko optimize kiya hai to apko search engine se bahut fayada hoga
- accha tittle banane ke liye apko apne tittle me 70 words se jyada word nhi use karna hai
- apka main keyword jarur ana chahiye kam se kam ek bar to jarur
- janha tak ho sake main keywords ko sabse pahle likhe tittle me
- tittle me baar baar same keyword na use kare,qki google apki post ko spam bhi kar sakta hai
- meta description:meta description ko ham apne blog me isliye use krte hai jisase google ya or koi search engine ye samjh jaye ki hamare blog me kya hai agr apne apne blog me sahi se meta tag add nhi kiya hai to apke blog ke search me aane ki sambhawan 12% hi bachti hai jo ki bahut hi kam hai
- agr apka blog kisi news blog ki taraha hai to apko meta tag me ye likhna chahiye ki aap yeha pe kis tarah ki jankari pa sakte hai ya kis kshetra ki jankari pa sakte hai
- apke meta tag me apke blog se jude sabhi main keyword hone chahiye
- apko meta tag me jab bhi koi new post dale or uska keyword apne meta tag me nhi add kiya hai to turant update kar de
- keyword density:ye bhi ek bahut hi bada sawal hota hai apke blog ke liye ki apne apne blog ko search me aane ke liye kitna ready kiya hai apko koi bhi post likhte wakt ye pata hona chahiye ki apko apne post me main keyword kitni baar use karna hai to answer ye hai ki agr apne post ko 1000 words ki likhi hai to apko apne post me main keyword ko 50 baar use karni hai exa:apne apne post ka main keyword seo kiya hai to aap kewal 100 words ke bich me 5 bar hi seo likh sakte hai like this 100words=5main keywords,,1000words=50 main keywords
- hidden content:hidden content ka matlab hota hai ki bahut se log apne post ko page me likhkar publish kar dete hai or usko hidden bhi kar dete hai sochte hai ki unko isase acchi traffic milegi lekin aisa kuch nhi jab koi reader apke blog pe us post ke jariye aata bhi hai to apke blog pe usko ye post kahi pe dikhai nhi padti hai or o udas ho jata hai google HIDDEN content se bahut hate karta hai
- image alt tag:apko pata hoga ki google me jab ham kisi bhi chij ki pic search karte hai to usase jude bahut se photo apko dikhata hai,aap sochte honge ki shayad google photo ko dekh kar search me lata hai galat hai,google jo bhi pic deta hai usme jo ALT tag hota hai usko read karke photo ko apke samne lata hai isliye hamesha apko apne photo me alt tag jarur add kare
- url structure:apko pata hai ki apke post ka jo link hota hai o bhi ek tarah se apke blog ki traffic incress karne me apki help karti hai, aap jab bhi post ko likhe to custom link ka use karke link ko bahut hi easy banaye jisase google ya koi or search engine apke link ko padhkar blog ko search me la sake
- internel link:aapko apne post me apne old ke link bhi add karna chahiye jisase apke reader apke blog pe jyada se jyada time de sake lekin yaad rakhe ki agr apne post google ke baare me likhi hai to apko us post me sabhi link isi topic se related hi dena hai or hamesha yaad rakhe ki apko ek post me kewal 5 link hi add karni hai
- bold keywords:ham apne post me main keywords blod rakhne chahiye isase hame bahut help milti hai traffic me or earning me qki pahli baat google jab dekhta hai ki apke post me koi keyword bold me hai to uspe o focus karta hai or agr apke blog pe adsense hai to ads bhi main keywords se jude hote hai jisase hamare earning ke chance badh jate hai
- website ki sanrachna:apko apke blog ki rachana ko bahut hi carefully lena chahiye aap isko kaise use karte hai ye bahut jaruri hai apke blog ke liye,apko apne blog ki template bahut hi acche se use karna chahiye aap uska hight and width ko desktop or mobile ke hisab se rakhe aap jab bhi koi responsive blog ko padhte hai to apko koi pareshani nhi hoti hai,apko apne blog ki template attractive rakhni chahiye jisase reader ko apka blog padhne me bhi maza aaye
- responsive template:iska matlab ye hota hai ki agr apke blog ko koi bhi kisi bhi device me open kare to apka blog apne aap hi us divice ke hisab se set ho jaye jisase apke reader ko jyada dikkat na ho apko apne template ke responsive hone ke sath sath usme use kiye huye pic ko bhi responsive rakhni chahiye
- post lenth:apki post jitni long hogi utna hi accha hai apko apne post me kam se kam 1000words use karna chahiye lekin iska matlab ye nhi hai ki aap apne post me kuch bhi likhte rahe qki readers ko jankari chahiye agr apke blog pe ye hoga to o jarur aayenge
- site map:ye bahut jaruri hota hai kisi bhi blog ke liye qki jab google kisi bhi chij ko search karta hai to sabse pahle o blog ki sitemap ko read karta hai or dekhte hai ki agr apke blog me site map hai to google apke post ko turant search me le aata hai or jab apke blog me ye add nhi hota hai to google ko apke post tak pahuchne me dikkat hoti hai or o apke blog ko chor deta hai jo apke blog ki liye bahut harm full hai
to ye rahi apke ON PAGE SEO KI JANKARI ab apko off page seo ki jankari ham apko agle post me denge aap hame jarur bataye ki apko ye post kaisi lagi