top 9 android app sabhi blogger ke liye jo help karte hai apko blogging karne me



hello frnds 
mai aap sabhi se sorry khna chahunga qki mane kafi dino sekoi post nhi kar paya uske liye or aaj ham  apko batayenge ki agr apke pass pc ya computer nhi hai or aap blogger banana chahte hai to apko chinta karne ki koi baat nhi hai qki aaj ham apko kuch aise top apps ki list denge jinke help se apko ek success blogger banane se apko koi nhi rok sakta hai waise bhi kisi ne khoob kaha  
                                       janha chah,waha rah
to frnds chaliye ham apko un sabhi apps ki list apko dete hai jinse apko aapne android phone se blogging karne me help milegi

list top apps ki blogger ke liye
1.wordpress                      (download link)
agar apka blog wordpress pe hai to apko ye app jarur use karna chahiye aap is app ki help se apne blog ko lagbhag poori tarah se manage kar sakte hai agar ham iske features ki baat kare to aap is applications ki help se apne blog me new post daal sakte hai apne post ko edit kar sakte hai pageviews kitne huye ye jaan sakte hai apne blog pe aaye comment ke ans de sakte hai sab kuch milakar ham ye kah sakte hai ki agr apka blog wordpress pe hai to apko ye app jarur use karne chahiye  

plzz read this:

  1. blogger pe blog q or iske kya fayde hai
  2. apne blog ki traffic kaise badhaye janiye yeha pe
  3. free me blog kaise banate hai blogger pe

2.blogger                           ( download link)
ye app apki help usi tarah se karta hai jaise apki help wordpress app karta hai agar apka blog blogger pe hai to apko apne android app me is app ko jarur install karna chahiye aap iski help se bahut se kaam kar sakte hai or sabse badi baat ki ham jo bhi blogger hote hai unme se 79% logo ke pass bilkul bekar internet hota hai jisase ham apne blog ko lagatar update nahi kar pate hai unke liye ye app bahut he best hai 

read this:

  1. blogger pe blog banane ke baad hame kya karna chahiye 
  2. kya aap internet pe save hai
  3. post ko publish karne se pahle kya karna chahiye 

3.google adsence             (download link)
agr apke blog pe adsence approvedho gaya hai or apko baar baar apne adsence ki earning cheak karna hai to apko ye app  apne phone me jarur install karna chahIYE aap is application ki help se apne blog ki earning report har samay pa sakte hai

read this:

  1. apne blog me stylish labels widget kaise add kare 
  2. alexa rank widget apne blog me kaise lagaye 
  3. free me logo banane ke liye free sites

    4.google analytics           (download link)
    aapko apne blog ke baare me janana bahut jaruri hai ki apke blog pe visitors kaha se aa rahe hai social media kitni traffic apko de raha hai aap search engine se kitna traffic paa rahe hai apke blog ka bounce rate kya hai apke blog ke pageviews kitne huye hai or bhi bahut se jankari apko is app ke madhayam se apko mil sakti hai aap isko try jarur kare 

    read this:
    1. online pfoto edit karne ke liye badhiya sites
    2. kisi bhi number ka location pata karne ke liye best app
    3. apne blog pe back to top ya scroll to top button kaise lagaye

    5.google drive                 (download link)
    google drive ke baare apko jankari hogi hi ye aap bahut se smart phone me pahle se install hota hai ye google ki bahut hi badhiya service hai aap yeha pe apna koi bhi data store kar sakte hai or apko ek account pe 15 gb ka store milta hai jo ki bahut hi kafi hota hai aap yeha pe apne audio templates photo etc jo chahhe o rakh rakte hai

    6.you tube                        (download link)
    agar aap net use karte hai to mujhe nhi lagta hai ki iske baare me apko batane ki koi jarurat hai wisse mera kam hai batana to thodi jankari lelete hai is aap ki help se ap apne phone me online koi bhi vidio search karke dekh sakte  apne vidio upload kar sakte hai or bhi bahut kuch kar sakte hai

    7.facebook                       (download link)ye app sabhi blogger ko apne phone me install karna chahiye qki ham khud ye nhi jante ki kis time hamare dimag me ek super duper hit idea aa jaye jiske help se ham apne blog ko bahut hi uper le ja sakte hai apko apne blog ke liye facebook page banana chahiye or facebook group banana chahiye inki help se apka blog 14% traffic kewal facebook se pa sakta hai

    8.twitter                            
    (download link)
    twitter ke baare me to aap sabhi bahut hi achi tarah se jante hone agar apke pass koi blog hai to apko twitter pe bhi apna account banana chahiye qki yaha se aap apne blog ke flower ko badha sakte hai apne blog ko up to date kar sakte hai apne new post ke baare me tweet kar sakte hai 

    9.photo editer                  (download link)
    frnds agar aap blogger ho or apko apne mobile se blogging karni pad rahi hai to apko ye app apne pass jarur rakhna chahiye qki jab aap mobile se blogging karte hai to apko apne post ke liye koi photo bhi leni chahiye jo ki apko edit karni bhi padti hai or ye apke liye bahut hi best hai aap isme usi tarah se photo ko edit kar sakte hai jaise pc ya computer me photo shop pe karte hai

    puffin browser             (download link)
    frnds mai sochta hu ki agar apke pass android phone hai or aap ek mehanat karne or dharya ko apne dil me rakhne wale hai to apko ek success blogger banane se koi nhi rok sakta hai apko puffin me o sabhi features milte hai jo aap kisi bhi computer ya pc me dekhte hai apko aisa nhi lagega ki aap apne phone me work kar rahe hai aap bilkul aisa samjhenge ki ap laptop pe work kar rahe hai

    sabhi apps ke download link bhi diye gaye hai aap direct yaha se download kare

    ye apki list hai jinke help se aap sabhi apne blog ko ek bahut hi badhiya mukam de sakte hai bina kisi bhi pc ya computer ki help se aap hame bataye ki apko meri ye post kaisi lagi or agar apko koi dought hai to hamse puche ham apki help karenge 

    thankxx for raed

    Share this

    Receive Quality Articles Straight in your Inbox by submitting your Email below.

    Related Posts

    Previous
    Next Post »

    hello readers
    apko comment karne se pahle kuch bata diya jaye

    1.ap comment me galat sabd ka prayog nhi karenge
    2.ap internet se juda koi bhi sawal puch sakte h
    3.ap koi bhi sawal bar bar n puche
    agar aap chahte h ki apke comment ko publish nhi kiya jaye to bata dijiye ya ap HAMSE SAMPARK KARE form fill karke send kare
    THANKXXXX

    Ads Inside Post