Showing posts with label traffic. Show all posts
Showing posts with label traffic. Show all posts

on page seo kya hai or isko kaise use karte hai apne blog ya site ke liye janiye hindi me

hello frnds 
aaj ham apko batayenge ki aapko apne blog ke liye SEO ko kaise use karna chahiye or apko apne blog me isko use karne ki jarurat kya hai SEO ka matlab kya hota hai or bhi bahut se aisi jankari hai jo apko janani chahiye aapne blog bana liya hai lekin apka kam blog banake chor dena nhi hota hai apko apne blog ke liye bahut work karna hota hai jisase apka blog search me aaye apke blog pe traffic aaye or ham apne blog ke famous ho jaye ham apni blog ki traffic badhane ke liye bahut se research karte hai unko use karte hai lekin jo hamare new bloggers hote hai o seo ke bare me kuch nhi jante hai to chalte hai aaj ham apko iski poori details acchi tarike se denge...


1.seo kya hai?
seo ka matlab hota hai search engine optimize jo ki hamare blog me hamare dwara kiye gaye research me se ek hai ham apne blog ko rank dilane ke liye bahut se method ka use karte hai seo unme se ek hai jiska use karke ham apne blog ko search engine me ek accha rank dila sakte hai isme bahut se proccess hote jinko poora karke ham apne blog ko ek behtar rank dilate hai google,bing,yahoo jaise search engine me or ham bahut hi badhiya traffic prapt karte hai....

2.seo ki kya jarurat hai apko?
 agr aap internet ke baare me jante hai ya aap koi online produck sell karna chahte hai to apke pass ek site hona bahut jaruri hai or jab apke pass site hogi to aapko usko search engine  me top rank me lana bhi jaruri hai qki jab apke site pe visitors aayenge tabhi to apka produck sell hoga or aap paise kama payenge.....

type of seo
seo do tarah ke hote hai jo niche diya gaya hai 
  • on-page seo
  • off-page seo

on page seo
sabse pahle ham jante hai on page seo ke baare me ki ye kya hai or isko apne blog me kaise use karte hai jab ham apne blog ko google jaise search engine ke liye ready karte hai or apne blog ko search engine ke liye edit karte hai to ham usko on page seo kahte hai on page seo me ham kya karte hai janiye
  • website ki speed:apke liye jaise apke blog ke template jaruri hai ki uski disgine acchi ho dekhne me acchi lage to apko apne blog ke loading speed pe bhi dhyan dena chahiye 

  1. apke blog ki speed 1-5 sec hai to bahut accha hai
  2. apke blog ki speed 5-10 hai to bhi accha hai
  3. lekin agr apke blog ki speed 10 sec se jyada hai to apko apne blog me kuch devlop karna hoga
  4. blog ki speed badhane ke liye apko usme jitne bhi bade bade pic hai unko replace kar de,blog me jo bekar ki ccs code hai unko bhi hata de apke blog ki speed fast ho jayegi

  • tittle tag:kisi bhi site ya blog ke rank ko incress karne ke liye tittle tag ka hona bahut jaruri hai agr apne tittle ko optimize kiya hai to apko search engine se bahut fayada hoga 
  1. accha tittle banane ke liye apko apne tittle me 70 words se jyada word nhi use karna hai
  2. apka main keyword jarur ana chahiye kam se kam ek bar to jarur 
  3. janha tak ho sake main keywords ko sabse pahle likhe tittle me
  4. tittle me baar baar same keyword na use kare,qki google apki post ko spam bhi kar sakta hai
  • meta description:meta description ko ham apne blog me isliye use krte hai jisase google ya or koi search engine ye samjh jaye ki hamare blog me kya hai agr apne apne blog me sahi se meta tag add nhi kiya hai to apke blog ke search me aane ki sambhawan 12% hi bachti hai jo ki bahut hi kam hai 
  1. agr apka blog kisi news blog ki taraha hai to apko meta tag me ye likhna chahiye ki aap yeha pe kis tarah ki jankari pa sakte hai ya kis kshetra ki jankari pa sakte hai 
  2. apke meta tag me apke blog se jude sabhi main keyword hone chahiye
  3. apko meta tag me jab bhi koi new post dale or uska keyword apne meta tag me nhi add kiya hai to turant update kar de

  •  keyword density:ye bhi ek bahut hi bada sawal hota hai apke blog ke liye ki apne apne blog ko search me aane ke liye kitna ready kiya hai apko koi bhi post likhte wakt ye pata hona chahiye ki apko apne post me main keyword kitni baar use karna hai to answer ye hai ki agr apne post ko 1000 words ki likhi hai to apko apne post me main keyword ko 50 baar use karni hai   exa:apne apne post ka main keyword seo kiya hai to aap kewal 100 words ke bich me 5 bar hi seo likh sakte hai like this 100words=5main keywords,,1000words=50 main keywords
  • hidden content:hidden content ka matlab hota hai ki bahut se log apne post ko page me likhkar publish kar dete hai or usko hidden bhi kar dete hai sochte hai ki unko isase acchi traffic milegi lekin aisa kuch nhi jab koi reader apke blog pe us post ke jariye aata bhi hai to apke blog pe usko ye post kahi pe dikhai nhi padti hai or o udas ho jata hai google HIDDEN content se bahut hate karta hai


  • image alt tag:apko pata hoga ki google me jab ham kisi bhi chij ki pic search karte hai to usase jude bahut se photo apko dikhata hai,aap sochte honge ki shayad google photo ko dekh kar search me lata hai galat hai,google jo bhi pic deta hai usme jo ALT tag hota hai usko read karke photo ko apke samne lata hai isliye hamesha apko apne photo me alt tag jarur add kare 


  • url structure:apko pata hai ki apke post ka jo link hota hai o bhi ek tarah se apke blog ki traffic incress karne me apki help karti hai, aap jab bhi post ko likhe to custom link ka use karke link ko bahut hi easy banaye jisase google ya koi or search engine apke link ko padhkar blog ko search me la sake


  • internel link:aapko apne post me apne old ke link bhi add karna chahiye jisase apke reader apke blog pe jyada se jyada time de sake lekin yaad rakhe ki agr apne post google ke baare me likhi hai to apko us post me sabhi link isi topic se related hi dena hai or hamesha yaad rakhe ki apko ek post me kewal 5 link hi add karni hai


  • bold keywords:ham apne post me main keywords blod rakhne chahiye isase hame bahut help milti hai traffic me or earning me qki pahli baat google jab dekhta hai ki apke post me koi keyword bold me hai to uspe o focus karta hai or agr apke blog pe adsense hai to ads bhi main keywords se jude hote hai jisase hamare earning ke chance badh jate hai


  • website ki sanrachna:apko apke blog ki rachana ko bahut hi carefully lena chahiye aap isko kaise use karte hai ye bahut jaruri hai apke blog ke liye,apko apne blog ki template bahut hi acche se use karna chahiye aap uska hight and width ko desktop or mobile ke hisab se rakhe aap jab bhi koi responsive blog ko padhte hai to apko koi pareshani nhi hoti hai,apko apne blog ki template attractive rakhni chahiye jisase reader ko apka blog padhne me bhi maza aaye 
  • responsive template:iska matlab ye hota hai ki agr apke blog ko koi bhi kisi bhi device me open kare to apka blog apne aap hi us divice ke hisab se set ho jaye jisase apke reader ko jyada dikkat na ho apko apne template ke responsive hone ke sath sath usme use kiye huye pic ko bhi responsive rakhni chahiye 
  • post lenth:apki post jitni long hogi utna hi accha hai apko apne post me kam se kam 1000words use karna chahiye lekin iska matlab ye nhi hai ki aap apne post me kuch bhi likhte rahe qki readers ko jankari chahiye agr apke blog pe ye hoga to o jarur aayenge
  • site map:ye bahut jaruri hota hai kisi bhi blog ke liye qki jab google kisi bhi chij ko search karta hai to sabse pahle o blog ki sitemap ko read karta hai or dekhte hai ki agr apke blog me site map hai to google apke post ko turant search me le aata hai  or jab apke blog me ye add nhi hota hai to google ko apke post tak pahuchne me dikkat hoti hai or o apke blog ko chor deta hai jo apke blog ki liye bahut harm full hai 

to ye rahi apke ON PAGE SEO KI JANKARI ab apko off page seo ki jankari ham apko agle post me denge aap hame jarur bataye ki apko ye post kaisi lagi 

thankxxx for read this

keywords planner kya hai aur inka use kaise karte hai janiye hindi me

hello frnds
aaj ham baat karenge ki KEYWORDS KYA hote hai or inko apne blog me kaise use karte hai or ye hamare liye jaruri kyo ho jate hai agr aap post likh rahe hai or apko lagta hai ki aapke blog pe traffic nhi aarahi hai to iska dusra bada karan ye ho sakta hai ki shayad aap apne blog pe keywords ka sahi se use nhi kar rahe hai to chaliye ham dete hai apko in sabhi sawalo ke question jo apko jarur janana chahiye 


blog ya post ke liye keywords kyo jaruri hai?

jab ham apne blog me koi post likhte hai to usme ham kuch aise keywords use karte hai jo logo ke dwara blog me jyada search kiye jate hai ye keywords search engine me search kiye jate hai apko pata hoga ki jab app koi bhi words google,bing,yahoo,yandex jaise search engine me dalkar search karte hai to apko bahut se option uplabadh kar diye jate isme aap ek khas baat ye dekhte hai ki apne jo word search kiya hai apne samne jo bhi site ya blog ke naam aaye hai usme sabhi me apke dwara search kiye gaye words hote hai 
search engine me search kiye words keywords hote hai

hame blog me achhe keywords kyo use karna chahiye? jab ham apne company ya products ya kisi bhi kam le liye apna blog ya site bana lete hai to sabse jaruri chij hoti hai ki ham apne blog pe jyada se jyada readers ko apne blog pe attract kare  or iske liye hame apne blog ko serach me sabse uper lana hoga jo ki aap achhe keywords use karke hi kar sakte hai jab aap apne blog me achhe keywords use karte hai to apka blog search me achhe rank me aata hai or apke blogvke visitors bhi badhne lagte hai 
kahne ka matlab hai blog me acche keywords hi accha rank dilata hai search me. agr apko apne blog ka rank badhana hai or search me ache rank me lana hai to apko keywords ka use bahut hi acche se karna hoga


keywords planner kya hote hai kya ye free or paid hote hai?

keywords research toll o tool hote hai jo apko apke blog ya post me high search keywords batate hai apko apke blog ke liye ye batate hai ki apne jo keywords use kiya hai usko log is time kitna search kar rahe hai or ye kywords ke volume kya hai log isko kitna kab search kar rahe hai ye keywords planner apko sabhi serach engine jaise google,bing,yahoo or yandex jaise search engine me search kiye gaye words ko apke samne uplabadh kar deta hai 


keywords planner o tool hote hai jo apko apke keywords ke baare me sabhi jankari dete hai. ap ko ye tool free me or paid bhi uplabadh ho jate hai free me sabse accha keyword planner tool hai google keyword planner tool iske help se aap bahut he ache keywords research kar sakte hai 
or agr apko paid keyword planner tool chahiye to apko ye site pasand aa sakti hai 

  1. www.alexa.com
  2. www.seoprofiler.com
or bahut se site hai jo apko paid keywords research karne ka chance deti hai  ab ham apko NEXT post me batayenge ki ham keywords ka use apne blog/post me kaise karte hai iske baare janane ke liye aap hamre blog ko daily open kare

hame asha hai ki apko meri ye post pasand aayi hogi agr aap is post ko lekar kuch confused hai to aap comment karur kare or SHARE karna na bhule


thankxxx for read this

New Post Ko Likhne Se Pahle Apko Kya Karna Chahiye Jante Hai Hindi Me


Hello frnds
aaj ham baat karenge ki jab ham new post  likhte hai to hame usko kis tarah se kuch aisa banana chahiye ki sirf apke usi post se hi bahut sari traffic apko mile,jab aap post ko bina kuch soche samjhe apne blog me post kar dete hai to apko nahi pata hota hai ki apko ye post kitni traffic degi,aapke blog ka rank ye incress kar pati hai ki nhi or bhi bahut se sawal hai jinke answer apko mere is post me shayad mil jaye 


purane post ko update karke traffic kaise badhate hai

new post likhne se pahle kya karna chahiye?


  1. apko apne post ke liye most populer keywords use karne chahiye TITTLE me
  2. app jis labels ke baare me post likh rahe hai usko sahi se samjhe or uske baare me bahut sari jankari search kare fir us jakari ko short me post kare
  3. hamesha aap ye soch ke post ikhe ki apka post koi or nhi apke desh ke PRIME MINISTER padhenge
  4. post ko likhne ya post karne se pahle ap usko baar baar padhe jab tak apko kami lagti rahe usko edit or update karte rahe
  5. aap jo pic use kare post me usko is tarah le jo apke post se related ho na ki alag se jo apke post ki look bhi bekar kar de
  6. apne post ko likhte samay apne keywords ko kuch is tarah se use kare 
exa:apne 100 words ki post likhi hai to apko apne main keywords ko sirf 5 baar hi use karna         hai

top 9 apps mobile se blogging karne ke liye

a.apko apne post ke liye most populer keywords use karne chahiye TITTLE me

jab app apne new post ke baare me think kare to sabse pahle aap jo tittle use karne ja rahe hai uske baare me sabhi search engine me search kare jaise GOOGLE,BING,YAHOO etc or tittle me aap jo keywords use kar rahe hai unke rank pata kare agr unke rank 60% se uper hai tab aap use kar sakte hai nhi to mai yahi kahunga ki apko dusre keywords use karne chahiye

free me logo banane ke liye to site list apke liye

b.app jis labels ke baare me likh rahe uske bare me search kare

apko jis bhi labels ke baare me apne blog ke liye post likhna hai uske baare me bahut research ki jarurat hoti hai qki apka labels bhi apke blog ko behtar banane me apki baht help karta hai jab aap apko apne labels se jude baht si jankari mil jaye to aap usko nichod kar apne post me likhe matlab uska saar likhe QKI 

ab log GEETA padhne se jyada GEETA sar padhna pasand karte hai

c.hamesha aap ye soch ke post ikhe ki apka post koi or nhi apke desh ke PRIME MINISTER padhenge

aapko post likhne se pahle ye soch kar post likhna chahiye ki apki post or koi nhi apne  desh ke prime minister padhenge uske liye aapko apne post me bahut hi pyari bhasha ka upyog karna hai jo bhi likhna hai usko step by step likhna hai jisase apke visitors ko apki baat samjhne me asani hogi

d.post ko likhne ya post karne se pahle ap usko baar baar padhe jab tak apko kami lagti rahe usko edit or update karte rahe

jab aap apne post ko likhe to aap usko baar baar badhe uska preview karke dekhe ki apke post ka look kaisa hai isase ye hoga ki ho sakta hai ki apne koi spelling mistake ki ho o ppakad me aa jayegi uska look bhi change kar sakte hai qki hame apne content hi badhiya nhi likhne hai uska look bhi dekhna hai look se hi hamare blog pe 24% traffic milti hai 

e.aap jo pic use kare post me usko is tarah le jo apke post se related ho na ki alag se jo apke post ki look bhi bekar kar de

aap apne post me photo use karte hai uske uper bhi dhayan rakhe kabhi aisa nhi kare ki kahi se pic copy kar liya or apne post me laga diya isase apke visitors apse behad naraj ho jayenge qki kisi bhi visitors ko apse real originel content post or pic ki asha ke satha ata hai agr apke paas photo nhi hai to aap photo shop or mobile me picsart app ki hep se bana sakte hai

f.apne post ko likhte samay apne keywords ko kuch is tarah se use kare 

aap jab bhi post likhe to apne keywords ko SEARRCH DESCRIPTION me 4 se 5 baar use kar sakte hai or apne post me words ke hisab se use kar sakte hai jaise ki apne 100 words ki post likhi hai to apko kewal 5 baar hi apna main keywords use karna hai isi tarah se 1000words ke post me 50 baar use kar sakte hai


frnds apko meri ye post kaisi lagi hame jarur bataye agar apko koi dought hai is post ko lekar ya koi sawal hai to hamse comment karke jarur puche

ek request>>frnds agar apko meri ye post pasand aayi hai to share jarur kare ye hamare hard work ka prize hai 

thankxx for read this

Blogger Blog Me Meta Tag Description Kaise Add Karte Hai OR Ye Kyo Jaruri Hota Hai

Hello frnds 
aaj ham aoko ek bahut hi best tarika batane wale hai jisase apki traffic badhane me bhi help milegi apko pata hi hoga ki jab ham koi new blog banate hai to hamko traffic badhane ke liye kitni kosis karte jaise social site pe share karna sabhi jagah janha se hame thodi bhi traffic aane ki assha hoti hai waha pe apne blog ka promotion karte hai lekin apko ye pata hi hoga ki sabse jyada traffic hame search engine se milti hai or back link bhi hamare blog ke liye bahut jaruri hota hai 

read this:free me sms kaise karte hai kisi bhi number pe

agar apko apne blog pe bahut se number me traffic pana hai to apko apne blog ko sabhi search engine me add karna hota hai,or aaj ham sikhenge ki apne blog ki sabhi post or page ko search me kaise laaye,to chaliye jante hai


read this: blog me chalte huye words ko kaise lagate hai

meta search Description blogspot blog me kyo add karte hai?

  1. apka blog search me lana jaruri hai 
  2. apke blog ke baare me sabhi search engine ko batana hoga 
  3. apne blog ko better rank pane ke liye add karna chahiye
  4. post ko jab social site pe share karte hai to description apne aap show hota hai 
  5. blog ke sabhi page or post search me aane lagte hai

meta search Description blogspot blog me kaise add karte hai?

apne blog ki sabhi post ko search engine me lane ke liye apko ye sabhi step ko sahi se follow karne honge

 step>1 sabse pahle apko apne blogger blog ke dashbord  jana hai uske liye apko www.blogger.com pe jana hoga  

 step>2 ab apko sabse pahle apne dashbord ke ''SETTING'' option me click karna hai or apko ab ''Search Preferences'' pe click karna hai 

in short:Dashboard>>Settings>>Search Preferences 


 step>3 ab apko meta tags ka ek option dikhega uske niche description ka hoga uske samne apko ek empty box milega usme apko apne blog ke baare likhna hai ki apka blog kis subject pe hai or apke blog pe kya kya hai or aap jo bhi apne blog pe likhte hai usko likh sakte hai lekin aap yeha pe kewal  150 words ka hi use kar sakte hai 
                                 
                                             apki ye screen shot help karega


ye lijiye ab apka meta tag description add ho gaya hai or ab apki blog bhi kuch time ke baad search me aane lagegi 

apko meri ye post kaisi lagi ye hame jarur bataye or agar apko is post ko lekar ya koi or jankari chahiye jo blogger se judi hai to hamse comment ke jariyr puch sakte hai 


thankxxxx for read this

purane post ko update karke 400% jyada traffic kaise paye janiye hindi me

Hello frnds 
apko aaj aisi ek tricks bataunga jisase apke blog ki traffic bahut hi teji se incress hone lagegi apne ye baat to notice hi ki hogi ki apne jab bhi koi post last month me ki thi tab to o search me sabse uper aa rahi thi lekin kuch time se apke post search me sabse niche ke line me aate hai jante hai ki apke blog pe iska kya asar padta hai mai batata hu jab apki koi bhi post search me sabse niche aati hai to apke blog pe us post ke madhyam se aane wale visitors ki sankhya zero ho jati hai,isliye hamko apne blog or apne post ko dono ko roj update karna chahiye LEKIN KAISE jante hai yeha pe 

jab ham new blogger hote hai to sirf copy karte hai or kisi bhi post ko bina uski value jane post kar dete hai lekin jab hame blogging ke baare me kuch jankari hoti jati hai to sabse pahle hamko apne purane post ko update karna chahiye or agar apne apne post ko bahut mahino tak update nahi kiya to ho sakta hai ki apka blog search me sabse last me khisak jaye or apka visitors ki or blog pe nikal jaye 

sabhi blogger ke blog me kuch post aise hote hai jise unke blog pe bahut hi jyada traffic aata hai to dusri taraf kuch aise bhi post honge jo apko traffic zero dete honge 
apko inhe hi update karna hai 

google gmail acccount me dusra nuber kaise add karte hai

purane post ko update kaise karte hai?

durbhagya se agar apke blog ki traffic girne lage to apko usko sambhalne ke bahut se asan or saral upay hai jinke help se aap apne blog ki raffic ko fir se usi mukam pe pahucha sakte hai or search me top rank dila sakte hai 
uske liye apko ye karna hai

  1. apne purane post ko dobara se or new style me likhiye or usme ke broken links bhi fix kare
  2. on page seo ko sahi kare
  3. update post ko new post ki tarah se promotion kare or uske liye kuch back link bhi banaye 
android app computer ya laptop me kaise chalate hai

purane post ko dobara se new style me likhe 

>>apko sabse pahle apne post ka tittle change karna hai usme new keywords use kare
>>apne post me apko kuch hata karke usme fir se new style me kuch 100 se 400 words tak          ke new paragraph banana hai 
>>apko apne post me kuch spellings ko sahi karna hai or uska ek new look banana hai 

purane post ko naye date <tarikh>me publish kare

>>jab aap apne post ko new date me publish karte hai google or jitne bhi search engine hai
ye jante hai kia pne apne post or blog ko last baar kab update kiya tha 
>>aapke blog pe jab bhi koi visitors aate hai to apke blog or post me huye badlav ko notice
karte hai or unko ye badlav pasand bhi aata hai
>>agar aap blogger pe apna blog rakhte hai to apke post editer ke right side me SCHEDULE

me date ki seting kar sakte hai

SEO meta deta ko bhi update kare

>>ho sakta hai ki apne jab blogging start ki ho to apko meta ke baare me koi jankari nhi ho        lekin ab jab apko iski jankari ho chuki hai to aap isko jarur update kare or apko iska use          aaj se hi start kar dena chahiye 
>> iske baad post ko publish karte samay meta discription ka bhi use kare 
>>aap chahe to prema link me kuch change kar sakte hai
 new post ki tarah sabhi update post ka promotion kare
>>ek baar post ko poori tarah se optimize kar lene ke baad apko apne post ko bilkul usi                tarah se promotion karna hai jaisa aap new post ko karte hai
>>post ko promotion karne ke liye aap social media jaise facebook,google+,twitter,                       comments or bhi bahut se chijo ko use kar sakte hai

i think jab aap in sabhi tariko ko sahi se follow karenge to apko ye pata chalega ki apke blog ki rank ab search engine me ab achi rank pe aane lagi hai 

 kisi bhi post ko update karne se pahle in bato ka dhyan de 
  1. purane post ke paragraph ko dobara se likhe 
  2. new post me purane post ke link dale
  3. post ka tittle change karke usme new keywords use kare
  4. post ke pahle paragraph me keywords jarur add kare
  5. use aaj ki date me oublish kare
  6. post ko update karne ke baad usko promotion jarur kare 
  7. apne subscribers  ko post update ki suchna de
  8. key words ko kam se kam ek subheading me jarur likhe
  9. post ko first page pe dale
  10. dhyan de ki ye sab karne ke baad ape blog ki traffic badh rahi hai ki nhi
agar app in sabhi ko sahi se use karenge to apke blog ki traffic jarur  badhegi 

asha karte hai apko ye post jarur pasand aayi hogi agar apko is post ko lekar koi dought hai to aap hame comment kare ham apki help karenge

thankxx for read this

top6 ideas Social Media se apne blog pe traffic pane ke liye janiye kya hai

Hello frnds
aaj mai ap logo se sorry kahna chahunga kyoki mai kuch karna ki wajah se post nhi kar paya hu or aaj ham apko kuch aise trick denge jinse aap apne blog ki traffick ko social media ke help se dugni kar sakte hai or bhi bahut kuch hai hamare is post me isliye i think apko ye post jarur padhana chahiye 

top trick blog ki  traffic badhane ke liye 

  1. every day post likhe or publish kare:apko apne blog ki traffic ko bahut hi uper le jana hai to apko roj post karna chahiye qki koi bhi visitor jab hamare blog ko like karne lagta hai to o apke blog pe eveyday kuch new pane ke liye apke blog pe aata hao or jab usko sabhi chije purani hi milti hai to o dhire dhire apke blog ko bhul jata hai or fir kabhi bhia apke ko open nhi karta hai 
  2. apne post ko sabse pahle kaha publish kare: sabse pahle jab ham apna post ready kar lete hai to sochte hai ki sabse pahle apne post ko kaha pe publish kare to apko mera suggest hai ki apko sabse pahle apne post ko GOOGLE+ pe publish karni chahiye uske baad aap  janha pe hi chahe waha pe share kar sakte hai 
  3.  kis keyword se jyada top me aata hai apka blog:apko apne blog ke baare me sabse badi jankari ye leni hai ki apka blog kis tarah ke keywords ko search karne se top me aata hai jab ap apne blog ke is baat ko sahi se sajh jayenge to apko apne blog ki traffic badhane me bahut help milegi
social media se traffic kaise badhaye jante hai


  1. twitter:frnds aap jante hi honge ki twitter ke users 400 milion se uper hai to agar aap waha pe agr koi link dete hai jo apke blog ka ho ya kahi or ka ho to apke blog pe kam se kam 10 visitor to aa hi jate hai or agar koi apke link  ko twitter me share kar deta hai to 20 milte hai isi tarah ham kah sakte hai ki apko  hamko apne blog ko high traffic dene ke liye TWITTER ka use jarur karna chahiye 
  2. facebook page banaye:apko apne blog ki traffic ko incress karne ke liye apko apne blog ke naamse ek facebook page banaye or apne blog ke baare pe usme detail de aapko ye koshis karni hai ki apko jyada se jyada like mile qki ye apki bahut help karta hai apki blog traffic badhane me qki frnds JO DIKHTA HAI O BIKT HAI
  3. apne post ko facebook pe every day share kare:apne blog ki traffic badhane ke liye apko roj hi apne blog ke naye purane post ko alag hi andaz me share karna hai jisase apke share kiye huye content ko jab koi visitor apke post ko facebook me dekhe to apke blog pe aane ko majbur ho jaye apko kuch aise impress karne wale words use karna chahte hai 
  4.  readers ko share karne ko kahe:frnds apko apne visitor ko apne post karne ke liye kahe aap apne visitors ko FACEBOOK,GOOGLE+,LINKDIN,DIGG,TWITTER,TELAGRAM or bhi bahut se social media hai jin pe aap apne visitors ko apne post ko share karne ko kah sakte hai ye bhi ek bahut hi best hai tarika hai aap ise jarur use kare iske liye aap apne blog pe har post ke niche social media ke share button jarur lagaye 
  5. comment box use kare:ab soch rahe honge ki comment ka kya metter hai to frnds ap ab kisi bhi blog pe comment karte hai to apko waha pe apne blog ka link bhi add karna hota hai jo apko ek bahut hi best back link deta hai back link se bhi ham apne blog ko high traffic dila sakte hai 
  6. badhiya tittle de:apko apne post ko likhte samay ye care karna hai ki aap jo postlikh rahe hai uska tittle logo ko kitna pasand aa sakta hai or ye janane ke liye apko apne post tittle ko baar baar padhna chahiye uske baad apko acha lage to usko hi rahne de agar nhi lagta hai to tittle change kar de 
dear reader asha hai ki apko ye post jarur pasand aayegi or ham pure vishwas ke sath kah sakte hai agr aap in sabhi rule ko follow karte hai to apka blog bahut hi populer ho sakti hai or bhi bahut seaise bate hai jiko janke aap apne blog ki traffic ko bahut hi incresss kar sakte hai 


agar apko is post se realeted koi dought hai ya apko or koi jankari chahiye jo blogging se related hai to aap comment karke puch sakte hai 

thankxxx

Ads Inside Post